Follow along with the video below to see how to install our site as a web app on your home screen.
Note: This feature may not be available in some browsers.
Sir g Taqwa khauf Hai ya kuch or ?Kuch Khauf e Khuda.
Sir g Taqwa khauf Hai ya kuch or ?
Much obliged dear sir .Hazrat Taqwa tou kamil yaqeen, umeed aur barhosay say he mumkin hy, yeh tou aik azad admi he pa skta hy. Khauf tou aik arzi kafiyat hy, jati rai tou yaqeen mutzalzal. Taqwa aik confident admi ki nishani hy, jissay koi b cheez apni jaga say hilla na saky. Iss k liay dhari, pagri, mathay pay mehrab hona na hona maanay nai rakhta. Taqwa a gya tou manzil ka taiyun khud bakhud ho jata hy, banda khud bakhud shauk say agay barhnay lagta hy, phir na muashray kay tano ki fiker na doosray kya kehay gay ka dar, jan imanat lagnay lagti hy.
Mayray mushaiday may jiss cheez pay ap dili sukoon kay sath yaqeen rakho wo ziada mustehkam aur mazboot hy. Khauf tou kissi ko b PARWARDIGAR ko yad karnay pay majboor kar daita hy. Yeh tou Quran may b misaal di gai hy "Jab hum inhay musibat may daltay hain tou foran apnay RAB ko pukartay hain yeh, aur jab hum inhay musibat say nijat day daitay hain tou, wapis apni rawish pay chal party hain"
We use essential cookies to make this site work, and optional cookies to enhance your experience.