labrez hai sharāb-e-haqīqat se jām-e-hind
sab falsafī haiñ ḳhitta-e-maġhrib ke rām-e-hind
ye hindiyoñ kī fikr-e-falak-ras kā hai asar
rif.at meñ āsmāñ se bhī ūñchā hai bām-e-hind
is des meñ hue haiñ hazāroñ malak-sarisht
mash.hūr jin ke dam se hai duniyā meñ nām-e-hind
hai raam ke vajūd pe hindostāñ ko naaz
ahl-e-nazar samajhte haiñ is ko imām-e-hind
ejaaz is charāġh-e-hidāyat kā hai yahī
raushan-tar-az-sahar hai zamāne meñ shām-e-hind
talvār kā dhanī thā shujā.at meñ fard thā
pākīzgī meñ josh-e-mohabbat meñ fard thā
~ Allama Iqbal (on Hindu Lord Ram)
لبریز ہے شراب حقیقت سے جام ہند
سب فلسفی ہیں خطۂ مغرب کے رام ہند
یہ ہندیوں کی فکر فلک رس کا ہے اثر
رفعت میں آسماں سے بھی اونچا ہے بام ہند
اس دیس میں ہوئے ہیں ہزاروں ملک سرشت
مشہور جن کے دم سے ہے دنیا میں نام ہند
ہے رام کے وجود پہ ہندوستاں کو ناز
اہل نظر سمجھتے ہیں اس کو امام ہند
اعجاز اس چراغ ہدایت کا ہے یہی
روشن تر از سحر ہے زمانہ میں شام ہند
تلوار کا دھنی تھا شجاعت میں فرد تھا
پاکیزگی میں جوش محبت میں فرد تھا